BISP: Ehsaas Program Online registration – Muft malomat

BISP ehsas programme ki online registration k Baray mein Muft Malomat in Urdu

Ehsas programme ko be nazeer income support programme mein tabdeel kar diya gaya hai

BISP: Ehsas programme bhutto daur ke دوران 2008 mein tashkeel diya giaa taakay mustahiq aur ghareeb afraad ki maali madad ki ja sakay haal hi mein ehsas aur benazeer mumkin madad programme  9000 rupay ki chothi samahi maali muawnat 19 June se shuru kar di gayi hai jis se lakhoon mustahiq afraad mustafeed ho rahay hain.

Ehsas programme 8171

Benazeer income support mein national socio economic survay ke tehat mustahiq aur maali tor par tang dast 9 laakh logon ko shaamil kya gaya aur un ki maloomat ko jama kya gaya phir is surway ke ahal karon aur nadra k zarya se maloomat ko 2011 mein record par mabni aik dastaweez ki shakal di.

5.4 milion rupay is programme ke liye mukhtas kye gay hain.  taakay mustahiq, Talaq Yafta , mazoor, boorhay afraad aur taleem haasil karne walay bachon ko maali muawnat faraham ki ja sakay.

sabiq wazeer e azam Imran Khan ne be nazeer income support programme ki ahmiyat ko ujagar karte hue is ko bohat wusat di aur lakhoon afraad ko 12 hazaar se le kr 14 hazaar rupay ki maali muawnat faraham ki

BISP: ehsas nashonuma programme

Ehsas aur be nazeer income support programme ne mil kar aik allag programme tashkeel diya jis ko ehsas be nazeer nashonuma programme kaha jata hai yeh khaas tor par پریگنٹ aur doodh pilanay wali maaon aur un ke bachon ki bar waqat imdaad ke liye tashkeel diya gaya is programme ke tehat har mah پریگنٹ aur doodh pilanay wali khawateen aur nomolood bachon ki kifalat aur dekh bhaal ke liye 2 hazaar se le kar do hazaar paanch so rupay ki maali muawnat faraham ki jati hai

Benazeer ehsas kifalat program

is program ke tehat khawateen ko har teen mah baad maali muawnat faraham ki jati hai jis mein 19 June ko honay wali mulaqaat mein is maali imdaad ko 25 feesad barha gaya hai jis ki wajah se yeh raqam 7 hazaar se barh kar 9 hazaar hogayi hai.

Benazir taleemi wazaif

is programme ka maqsad mustahiq aur ghareeb ghranon ke bachon ko taleemi akhrajaat poora karne ke liye maali muawnat faraham karna hai taakay un ka mustaqbil behtar ho sakay aur mulk taraqqi kere is maqsad ke husool ke liye primaray se le kar Higher Secondary  tak wazaif faraham کیۓ jatay hain

Benazir income support mein registration ka tareeqa – Muft maloomat in urdu 👈

is programme mein sirf wohi gharane registration karwa satke hain jo ke sahih maeno mein is programme ke haq daar hain taakay un ki maali muawnat ko yakeeni banaya jaye.

is programme mein registration ka tareeqa intehai aasaan aur aam feham hai online registration ke liye aap ko apna qaumi shanakhti card number aur webportl par mojood code ka indraaj karna hota hai aur aap ki online registration mukammal ho jaye gi agar aap ko portl se koi jawab nah miley to aap –apne qareebi benazeer income support programme ke office ja kar bhi apni registration karwa satke hain.

BISP Ehsas programme mein ahliat ka miyaar

Konse loog Bisp ehasas progarme k lye ahel hain complete information in urdu on muft malomat.com.

  • sirf woh gharane jin ki tang dasti ka score 30 se kam hai is programme ke liye ahal hain.
  • jin ki aamdani 30 hazaar se kam hai
  • jin ka qaumi shanakhti card hai
  • woh log jin ki koi jaedad hai ya woh koi sarkari mulazim ho is پروگرام mein shaamil nahi ho satke hain.
  • darkhwast guzaar ke gharane mein se koi bhi sarkari mulazmat nah karta ho.
  • بیوه khawateen is parograme ke liye ahal hain
  • woh talba jo shool aur colleges mein zair taleem hain is programme mein shaamil ho satke hain

Leave a Reply